• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.

Bahut roya d3

Upar ki hasi dekhi tumne,
andar ke gham nahi,


Door zaroor ho gayi,
magar barbaadi sirf tumhari toh nahi...

Jaante the tum shuruaat se hi,
is ishq ki ruswaai,


Zara bata do is jahaan mein,
Kiski mohabbat mukammal hui?

Kuch rishte mukammal hokar bhi
adhure reh jaate hain,

Kuch log door hokar bhi
dil ke pass ho jaate hain...

Mana saath nahi hai ham ab
Per yadon kaa hasin tohfa sanjoya hai ...

Dard hai judai me dono k liye,
Kiyu na ise bhul k nayi shuruaat krte hain.
​
Wow behatarin
 
Bahut roya hai dil tumhe yad kar ke !
tum chali gayi ham barbad kar ke!!
ham tadap rhe hai is biran duniya me!
tu khush hai kisi aur ka ghar abad kar ke!!

Jitne fasle bane waja ishq tha
tere ishq me kuch to mix tha
na tum samjhe na me samajha paai

Dono ki barbadi tab hi fix tha
(just Baate)
 
Jitne fasle bane waja ishq tha
tere ishq me kuch to mix tha
na tum samjhe na me samajha paai

Dono ki barbadi tab hi fix tha
(just Baate)
Ishq wajah nhi banti duriyon ki
Kabhi zid to kabhi gussa bich aata hai,
Milawat bhi nhi mere ishq me koi
Tera dil bs ye ek baat nhi samajh pata hai..
 
Ishq wajah nhi banti duriyon ki
Kabhi zid to kabhi gussa bich aata hai,
Milawat bhi nhi mere ishq me koi
Tera dil bs ye ek baat nhi samajh pata hai..
chehare nahi ab najre pdhna sikh gai hu
Filhal aap sahi main galat dikh rahi hu
Waqtki dhaar bahut tejilaa hain janab
baari sab ki aati he

Isliye aaj khud ko met rahi hu
 
chehare nahi ab najre pdhna sikh gai hu
Filhal aap sahi main galat dikh rahi hu
Waqtki dhaar bahut tejilaa hain janab
baari sab ki aati he

Isliye aaj khud ko met rahi hu
Baat sahi aur galat ki hai nhi
Baat apno se shikayat ki hai
Waqt to har pal pariksha leta hai
Na mitenge na mitne denge iski taiyari hai
 
Back
Top