Yeh mat pucho ki kaisi insaan hoon
Karoge yaad, Aesi insaan hoon
Mera naam aur nasal kyun puchte ho
Jaleel, Beijjat aur tabaah insaan hoon
Pehchaan aur kya iss ke siva ho
Ki mai bhi aap jaisi insaan hoon
Zamaane ke jhamelo se mujhe kyaa
Meri jaan! mai tumhra pyaar hoon
Chale aaya karo meri taraf bhi
Mohabbat karne wali insaan hoon
Pyaar mai kami beshi naa jaaano
Mehboob, Mai akeli insaan hoon
Guzaarun ak jaisa waqt kabtak
Koi Pathhar hoon main ya insaan hoon
Jaan, aa jaao mere saath lekin
Main ak bhatki hui si insaan hoon
Har insaan ke andar kuch aise zakham hote hain jo duniya nahi dekh pati.
Gehri mohabbat karke bhi khud ko kho dena kamzori nahi, balki ek aisi dil ki nishani hai jo abhi bhi umeed se dhadak raha hai.
Aur jab ek rooh bhatakti hai, toh asal mein woh apna matlab dhoondh rahi hoti hai, aur yeh khoj bhi ek khoobsurti hai