Adbhut...
Tanhai dil ki hai to tanhaiyon ko paar kro
Khushiyan aage hain, badho aur deedar kro...


Waaah!! Ji jrur Didaar ka intzaar hai bas
Adbhut...
Tanhai dil ki hai to tanhaiyon ko paar kro
Khushiyan aage hain, badho aur deedar kro...
Bhut khoob!!Zakhm purane dil mein palte rahe,
Hum muskurate rahe, wo jalte rahe.
Har ik khushi pe unka saaya mila,
Gham ki tarah wo bhi machalte rahe.
Wo lamhe jo kabhi chubhe the khanjar se,
Ab khwabon mein bhi aksar chalte rahe.
Log kehte hain, waqt marham hai,
Par mere zakhm to khud hi palte rahe.
Khamoshiyon mein bhi ek shor tha chhupa,
Andar hi andar hum galte rahe.(θ‿θ)(θ‿θ)
Bhut khoob!!
Kyaa baat hai, mehfil jmaaa di
![]()
Likhte rhao yunhisukriya
Jarrur (•‿•) bahot sari likhi hai MaineLikhte rhao yunhi
Mjeedaar
Zakhm purane, Phool sabhi baasi ho jaayenge
Dard ke sabhi kisse jab taaza ho jaayenge
Saansein leti tasveeron ko chuppi lag jaayegi
Saare roop karishmon se daagi ho jaayenge
Aankhon se masti, na labbon se amrit tapkega
Jaam jab bottlon se khaali ho jaayenge
Khuli chhat se chandani raatein katra jaayengi
Kuch hum bhi tanhaai ke aadi ho jaayenge
Noor-a- rooh par gehre baadal chaye rahenge jab
Uske dil ke parde bhaari ho jaayenge....
Waaah waaahPurane zakhamon ki khamoshi mein bhi,
ek chhupi hui taaqat dhalti rehti hai.
Tanhaai aa sakti hai, par hamesha ke liye nahi…
mohabbat aur roshni phir se apna raasta dhoond hi lete hain.
Chhayaayein bhi dhoop mein badal jaati hain,
Zakham sahi, par khushi kabhi door nahi hoti.