Jab se usne shehar ko chhoda
Har rasta sunsaan hua,
Apna kya hain, sare shehar ka
Ak jaisa nuksaan hua,
Ye dil, ye dhokhon ki nagari
Ghar hai bas wahamon ka
Soch rahi hoon iss nagari mein
Tu kab se mehmaan hua,
Sehraan ki sookhi tezz hawayein
Jab auron se mansoob hui
Muft mein hum aawara thehre
Muft mein ghar veeran hua,
Mere haal pe hairat kaisi
Dard ke tanha mausam mein
Patthar bhi ro padte hain
Insaan to fir insaan hua,
Itni der mein ujjde dil par
Kitne mausam beet gaye
Jitni der mein tujh ko paa kar
Khone ka ahsaan hua,
Kal tak jis ke dil mein tha
Moh madhosh sitaaron ka
Aaj usi ko tanhaa pa kar
Man to bahut hairan hua,
Uss ke zakham chuppa kar rkhiye
Khud uss shaksh ki nigaahon se
Uss se kaisa shikwa kije
Woh to abhi nadaan hua,
Jin ashko ki feeki lon ko
Hum bekaar samjhate they
Unn ashko se kitna roshan
Ak banzar makaan hua,
Yun bhi anjaan tha woh
Iss shehar ke logon mein
Lekin mere saamne aa kr wo
Aur bhi mujhse anjaan hua...!!!







