Agar kabhi mujhse poochha jaaye ki mohabbat kaisi hoti hai, toh shayad main tumhara zikr kar doon. Kyunki mohabbat sirf kisi ko paane ka naam nahi, balki kisi ki khushi mein khush rehne, uski fikr karne aur uski muskurahat ki wajah banne ka naam hai. Bas tum hamesha muskurati rehna, chahe meri wajah se ya kisi aur wajah se.!!