TheWanderer
Wellknown Ace
Indian Drivers = Personality Disorders on Wheels
Type 1: The Sudden Right-Turn Wale
Extreme left se seedha right. Na indicator, na warning. Bas Bhagwan bharose.
Life mein bhi: Decision pehle, logic baad mein. Inki life ka motto hai: “Risk hai toh ishq hai.”
Type 2: The Red-Light CEO
Red light pe 3 minute hue nahi ki horn pe horn. Jaise horn bajane se sarkaar signal green kar degi.
Life mein bhi: Inko lagta hai duniya inki urgency ke hisaab se chalni chahiye. “Mujhe late ho raha hai, tum sab apni zindagi rok do!”
Type 3: The Zen Monk
Road khaali, chaar lanes khaali, peeche koi nahi… phir bhi speed limit pe.
Honestly, I envy these people. Inhone life mein aisa kya achieve kar liya hai jo mujhe abhi tak samajh nahi aaya?
Life mein bhi: No FOMO, no rush, no unnecessary drama. Bas hum hi hain jo inko overtake karke agle signal pe milte hain.
Type 4: The Dhurandhar
250 metres mein fifth gear. Bass full, accelerator down, duniya background music.
Life mein bhi: Har decision impulsive, har move aggressive, aur self-awareness ka engine seized.
Bhai, zindagi jeetni hai ya Fast & Furious ka audition dena hai?
Moral of the story: Kuch log life mein indicator nahi dete, kuch har baat pe horn bajate hain, kuch ko koi jaldi nahi… aur kuch ko lagta hai woh paida hi climax scene ke liye hue the.
which type you fall in ?? And more types if you can describe...