• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.

‎ ‎ ‎ ‎ ‎ ‎ ‎ Siyahi Bhari Subah (سیاہی بھری صبح)-2

4yöu

Epic Legend
Chat Pro User
Subah 8:00

Me rohan pahado se...

Aaj anu ko gujare huye lagbhag 6 years hogye hai. Tab me 6 std. Me tha. Aur ab meri 12th bhi puri hogai hai. Mujhe aaj mere gaav se kareeb 20 kms University jana hai. Sab kuch yaha badal gaya hai pahado mai ab. jaha anu ke sath hadsa hua wo jagah ab ped-paudho se bhar gai thi.

Anu ki ring nikalkar maine mere pas rakhi thi. lekin mujhe ghar walo aur gaav walo ka dar tha. koi dekhega to kya kahega ? us chakkar mai maine woh ring jaha anu ki maut hui thi us ped ke niche hi paththro me dhakkar chupa di thi. Waise bhi waha kisi ka ana jana itna tha bhi nahi.

In 6 saalo me, mai bhi bahut badal gaya hu. Me wo pehle jaisa rohan nahi raha jise sabki parwah ho sidha-sadha ho. Ab me aaj ka zamane ka rohan tha mere bhi shauk the, mujhe bhi life me koi girlfriend chahiye thi. Me khud ko ab zyada hi smart samjhta tha. Jaise me sirf me hi hu.

Bachpan se jab jawani me Qadam rakha, tab se hi me anu ko bhul gaya tha. Ab mujhe kuch yaad bhi nahi tha uske baare me jara bhi.

Khair aaj University jana tha. Me aur mere dost saare taiyar hokar raste par khade the bike lekar university jane . Sabne baalo me gel, jeans aur tshirt aur bahut mehkata hua perfume lagaya tha. Tabhi mera dost ritvik kehta hai " Rohan, aaj to koi ladki tumhe mil hi jayegi ?

Meine (rohan) bhi keh diya kya ? Ladki..? Aur me hasne laga. Meine kaha ladki hi mujhe zindagi me chahiye hoti to apne gaav me mujhse kitni ladkiya pyar karti hogi pooja, neha. Mujhe chahiye jo shakal se sundar aur hoshiyar aaj ki zamane ki ho yaar. Itna kehkar hum sab muskurate huye University ke liye nikal pade.

Hum University ke gate tak pahuch gaye. Waha aur ladke ladkiya bhi the. Me mere 3 dosto ke sath yaha tha. Ritvik, anuj, aur Raghav. Tabhi anuj kehne laga dekh dekh ritvik wo samne jo ladki ja rahi he wo teri bhabhi banegi. Ritvik kehta hai " mast sundar dikh rahi yaar wo ladki black sweater mai. Aise hi hum sab University ke bahar ladkiya dekh rahe the aur aaps me sab milkar masti majak kar rahe the.

Tabhi thodi door ik ladki ja rahi thi chalte huye University ke andar. Uske baal kaale ghane lambe aur uski kurti neele rang ki thi usne waise sar par dupatta dala hua tha lekin uske baal ghane door se hi najar aarhe the . Me aur mere sathi dekhte hi use apna hosh kho baithe. Mene ( rohan) bhi kaha ye tum sabki bhabhi hai theek hai ! Is par aur koi dore nahi dalna.

Me itna kehkar aage badhta hu tabhi wo ladki piche Mudti hai. Ye dekhkar piche mere saare dost jor jor se hasne lagte hai. Me dekhta hu ki us ladki ke chehre ke ik bhag par bahut bada daag tha, jo shayad use kisi chont se laga tha . Me uski aur dekha aur wapas piche ki aur hasta hua mudkar aagya.

Mere saare dost mujhe chidane lage ye tere liye hi sahi hai. Me bhi kaha ye tum sabki hai meri to yaar koi aur hogi sundar ladki. Tabhi door ik ladki ja rahi thi wo thodi modern najar aarhi thi. Mene apne dosto ko ishara kiya ye bhabhi he tumhari ab se theek hai. Aise hasi majak me college ka time ho gaya aur ab padhai ke liye andar chale gaye.

Me ab pehle jaisa Sharmila nahi tha. Hum to sochkar hi aaye the jaha ladki ho sundar uske paas jakar baith jayenge fir jo hoga dekha jayega. Aur meri kismat jis sundar ladki ko hum bahar dekhe the wo ik bench par baithi hui thi. Me bhagkar uski aur chala gaya aur uske paas wali seat par kabza kar liya.

Mujhe khud par itna yakeen tha ki kisi ladki ko apni dost banane mujhe time nahi lagega. Mene bina jijkte huye use kaha " hi, kya nam hai tumhara ? Tab wo ladki kahi mera nam tanvi hai aur tumhara. Mene bhi kaha me bhi rohan hu. Me pas hi khirsu (utrakhand) se hu. Usne bhi bataya wo yahi sriganar (utrakhand) se hai. Aise hamare bich me thodi baat chit hone lagi aur kab samay nikal gaya pata hi nahi chala.

Ab 1 baj gaye the aur break ka time hogya tha. Tanvi apne friends ke sath chali gyi. Aur me apne dosto ke saath niche lunch karne chala gaya. Tab mere dost University ke niche khade the. Mera ik dost anuj upar University ki aik khidki ki aur ishara karta hai. Waha wohi ladki padh rahi thi aur uske muh par dag tha. Bahar se suraj ki Kiran uske daag par pdh rahi thi.

Anuj kehta hai " rohan, teri girlfriend to upar padh Rahi he tu yaha kya kar raha hai. Mene bhi haskar kaha meri nahi tum sabki hai. Tum sab rakho waise bhi mujhe to meri wali mil gayi he tum sab ise dekho. Humare pas me ik kagaj pada tha maine us kagaj par likha "Suno sundari, tumhara ye Sundar roop dekhkar mere dost anuj ka man Mohit hogya hai. Kya tum uski premika banna chahogi. Agar tumhe ye mere sath niche kale shirt wala ladka pasand he to jawab bhejna.

Mene ye likhkar kagaz ki viman bana di . Aur thodi mehnat karni pdi lekin maine wo viman khidki ke andar us ladki ke bench par pahucha di. Wo door se hume dekh rahi thi. Me use ishara kiye jarha tha chitthi kholo aur padhne. Wo chiththi kholkar padhne lagti hai. Lekin wo kuch karti nahi hai wo sirf us khidki se door chali jati hai.

Mere dost Raghav ne kaha kahi isne professor ko hamari shikayat kardi fir. Anuj kehne laga jo karna he karne do yaar jo hoga sabke sath hoga na. Itna kehkar hum sab gale milkar hasne lage.

University me jate jate 6 mahine hogye the. Meri aur tanvi ki achchi khasi dosti hogyi thi. Haan lekin mujhe itna pata nahi tha ki agar me use pyar ka izhar karu to woh mana karegi ya nahi. Itne mahine beet gaye lekin Hume jab jab wo ladki milti thi to hum use bahut heran karte the. Lekin usne kabhi hamari shikayat nahi ki to hum kabhi ruke hi nahi.

Aik din wo ladki University me akeli baithi ro rahi thi. Tab break time tha. Use professor kavita ne dekh diya aur wo uske pas baithkar use puchne lagi. Unhone kaha kyu ro rahi ho tum ? Tab woh ladki kehti hai " mam, meri kya galti hai agar me aisi hu, sbko mujhse shikayat hai. Log Mera majak banate hai mere rishtedar bhi mujhe pasand nahi karte. Professor kavita us ke sar par hath rkhkar kehti hai " tum akeli nahi ho jisne ye sab saha ho" . Apni kamjori ko apni taqat banao. Professor Kavita aage kehti hai "jitna mai dekh rhi hu tum padhai Mai bahut hoshiyar hu." Aur itni samjhdar hokar aisi bate tumhe shobha nahi deti.

Wo ladki apne anshu pochne lagti hai. Aur kehti he. haa mam aap bilkul sahi ho. Me sirf buri bato par dhyan de Rahi hu lekin mere sath jo hameshaa acha he uspar dhyan nahi de rahi.

Professor kavita bolti hai " Suno, tumhe apne dar ko bhagana hai. Isliye mere pas ik sujhav hai. Kal fuladehi hai to University me chutti hai. Tum mere sath pas ke school me chalna. fuladehi he to tumhe vaha aakar bhasan dena hai. Tumse logo ko achchi khasi Sikh milegi aur tum apni aap beeti sunaogi to bachcho me ye bhavna jagegi ki kaha majak karna sahi hai aur kaha galat.

Wo ladki kehti hai jaisa mam aap kahe. Professor kavita kehti hai mujhe tumse aise jawab ki hi umeed thi.

Me (rohan) University se ghar aagya tha aaj. Mene Ghar jakar dekha aaj mami aayi thi aur unke sath unka chota ladka aaya hua tha jiski umar 7 saal thi. Mene khud se kaha yaar aaj hi aana tha kya inko. Mene socha kal fuladehi he chutti he to socha tanvi ke sath kahi ghumne chala jaunga aur use apne dil ki baat bhi bata dunga.

Tab mami aur meri mummy sb baat kar rahe the. Meri mummy kehti hai Suno rohan, tumhe kal Kartik ko lekar subah 6 baje ful lane Jana hai. Mene kaha me nahi jaunga mummy. Tum chote bhai ishan ko bhej do kartik ke sath. Tab meri mummy thoda kathor hokar kehti hai ishan ko kal school Jana he uske school me program he fuladehi ka. Tum hi lekar Jana varna. aur jayada nakhre kiye to papa se sikhayat kar dungi Teri.

Me (rohan) waha se chidta hua Ghar ki chat par jake chair par baith jata hu. Aur sochta hu kaha hi fasa diya bhagwan. Ye itna shaitan ladka iske sath rehna pdega mujhe. Tabhi wo ladka (kartik) upar aajata hai aur kehta hai "bhaiya, bhaiya chalo na mere sath khelo na.

Mene thoda gusse me kaha jao tum niche jakar tv dekho me abhi padhai kar raha hu apne phone par. Tab hi tanvi ka message aata hai " tum aarhe hona Raghav ? Kal hamara group ghumne jarha hai. Mene kaha nahi yaar tanvi kal me nahi aa paunga. mere yaha mehman aaye he hum parso University me milkar bat karenge.

Darasal, maine soch rakha tha, tanvi se kam bate karunga aur parso University me jab tanvi mere paas hogi tab use apne dil ka sara haal bata dunga to use bhi suprise milega. Itna kehkar me man hi man mushkurane laga.

Tabhi ritvik ka phone aata hai ..

Ritvik kehta hai rohan sunn..kal apne paas wali school me program he bahar se log bhasan dene ayenge tu chalega bata. Me kehta hu nahi yaar me yaha mami ke ladke ke sath fasa hua hu. Ritvik kehta hai yaar sundar Sundar teachers , aur ladkiya bhi to waha hogi.

Mene keh diya use nahi ritvik tu hi jaa varna mere papa mujh se waise hi presan rehte he aur mujhe bahut datenge.

Subah 6 baje

Mere ghar par sb uth gaye the. Aaj fuladehi (festival) tha to, Sab taiyari kar rahe the subah se hi mithaiya banana, nasta banna ghar me shuru hogya tha. Mami aur mummy ye sab kamo me lage huye the.

Tabhi kartik mere pas akar bola utho na bhaiya hum late hojayenge. Saare achche achche ful dusre bachche hi le jayenge.

Tabhi mere papa ki bhi awaz aai " aaj to tyohar hai aaj ke din to uth ja." Papa ki awaz sunte hi me jaldi se khada hogya aur nahane chala gaya. Taiyar hote hote adha ghanta beet gaya. Fir me aur kartik ful todne ke liye chale diye.

Maine socha paas me hi koi bageeche ya ped mile to uspar se ise ful todkar dedunga aur me fir aram se ghar jakar jaldi sojaunga. Lekin aspas koi ful najar nahi aarhe the. Aadhe se zyada bache subah uthkar hi ful todkar chale gaye the. Ab ful todkar lana jruri tha kyu ki aaj tyohar hai aur papa bhi ghar he.

Fir mene socha hamare ghar ke samne pahadi he waha ped paudhe aur ful dikhai dete he. Chalo ab waha hi chalte he. Me kartik ko lekar ab waha chala gaya.

Ab hum waha pahuche to yaha bahut sare ped podhe aur ful bhi hai. Mene kaha kartik tum ful todkar lao apne pasand ke me yaha baitha hu. Me ik pathar par jakar baith gaya. Waha aur bhi thode bahut bachche the. Wo bahut shararti the woh paththat fekkar pedo par mar rahe the. Maine unhe roka lekin wo mannewale kaha the.

Itne me kartik me jaha baitha tha us ped ke upar chadh gaya ful todne. Waise wo ped ghana tha usse dhup tak nahi aarhi thi. Mene kaha ghir mat jana tum fulo ke chakkar me !

Kartik kehta hai bhaiya mere to roj ka he ye. Mujhe kuch nahi hoga aap ful todkar feku wo ikathha karna.

Dusri aur Raghav, ritvik aur Anuj aaj school ke bahar program dekhne ke liye khade the. Woh dekhte he waha wohi ladki bhi aayi Hui thi aaj jinhe ye log hamesha se pareshan karte the uske chehre ke dag ki wajah se. Tino apas me hasne lagte hai aur kehte he " acha hua rohan nahi aaya varna ise yaha dekhkar uska to mood hi kharab hojata. Tabhi anuj kehte hai kya yaar socha kya tha aur Mila kya. Itna kehkar wo sab hasne lage. Us ladki ne bhi in tino ko door se dekh liya tha. Lekin uske chehre par muskan thi. Fir bhi ye log dur se use ishare karke chidane puri Kaushish kar rahe the.

kartik jab ful todne gaya tha us ped par. Mene apne pas rakhe ik pathar ke dher ko dekha. Bich bich me ye chote bache bhi bahut shor kar rahe the. Ik duje par ful dal rahe the, pathar pedo par fek rahe the. Meine us pathar ke dher par se ik ik pathar ko hatakr dur kiya. Tab maine dekha waha ik ring thi.

Mene us ring ko hath me liya. Wo bahut purani hogyi thi lekin wo chandi ki ring thi. Mujhe kuch halka halka yaad arha tha lekin me yaad nahi kar pa raha tha kuch Sahi se.

meine ring ko thoda najdik se dekhne kaushish ki utne me to kisi shararti ladke ne dhul uda di. Fir sare milkar ye bchche dhul ik dusre par dalne lage aur ik ne to mere pas akar dhul udadi jisse meri bhi ankho me dhul chali gai.

Meri ankho me bahut jalan ho rahi thi. Ankho me se paani rukne ka naam nahi le raha tha. mere hatho ke bich me ring thi aur dono hath par aankhe rakhakar pani saaf kiye jarha tha. Kartik ye sab dekh raha hota hai upar se.

Tabhi kartik ki awaz aati hai ye lo bhaiya. mujhe bahut kam dikhai de raha tha mene muh upar ki aur karke upar dekha to kartik ne bahut saare tode huye ful fek diye. Tabhi kuch ful meri ankho ke paani ko pochte huye mere dono hatho ke bich ghir pade.

Tab maine upar dekha to kartik jaha ped par tha waha se suraj ki roshani mere ankho me gir rahi thi. Mujhe achanak se yad aaya.

A..Anu...

Mujhe apni purani sabhi bate yad aane lagi. Me ring ko saaf karke dekhne laga. Ye wohi ring thi jo me chupake yaha rakha tha. Me udas hogya.

Khud se maine kaha, kya me aisa tha jo ab hu. Mene tumse kitne wade kiye the anu. Lekin me apni baato par kabhi Kayam nhi raha. Mene tumhe hmesa ke liye akela chor diya tha. Itna kehkar me aur rone laga. Me khudse kehne laga me ye nahi hu. Mujhe maaf kar Dena anu. Me tumhe dhoka Dene ja raha tha aaj.

Wohto bhala ho in bachcho ka jinki wajah se aaj me yaha tumhare pas aa paya.

Mene kaha "anu abtak jo hua woh meri na samjhi thi. Lekin ab me pure hosh Mai hu. Me tumse kiya hua wada kabhi nahi todunga. Kabhi nahi... Meri ankho se anshu ruke hi nahi jarhe the. Pata nahi kitna samay ho gaya mujhe kabhi kisi ke liye itna rote huye.

Mene kartik aur un bacho se kaha ruko me ful todkar lata hu. Tum sab yaha niche khade raho. Tumhe chont lag sakti he ye kam mujhe karne do. Bachche bhi ye baat sunkar pyar se man gaye.

Dusri aur gaav ke school me program chalu ho gaya tha. Waha ab bhasan dene ki baari us ladki ki thi jise me heran karta tha.

Tab ritvik, anuj aur Raghav uski aur Hi haskar dekh rahe the.

Fir woh ladki kehti hai..Mera Naam anu hai. Me pehle khirsu me hi rehti thi. Mere yaha bahut saare achche dost the. Pata nahi woh ab kaha chale gaye. shayad bade hogye hoge aur mujhe shayad ab jante bhi na ho. Me bahut khush thi yaha. Lekin ik raat khirshu me bhuskhalan hua usme mera Ghar aur mere padosi sabke makan Tut Gaye. Aur sbse bura yeh hua ki usme meri Maa Anita Devi aur mere bhai karan ki bhi maut hogyi. Mere papa Srinagar me kaam karte the us waqt. To us wajah se woh Bach Gaye.

Us bhuskhalan me sirf meri mummy aur bhai nahi chine, Balki mera mujhse sab kuch chin liya. Mere dost Mera gaav. Aur diya to sirf ye ghaanv. Me logo ke bahut majak udane par bhi mayus nahi hoti thi kyun ki jab hamare ghar tutkar niche ghir gaye the. Tab me thodi hosh me thi me apni ankhe khol nahi sakti thi. Lekin sun sakti thi mai.

Tab waha kisine mujhse wada kiya tha ki woh hamesha sath rahega. Wo kisi bhi halat me mujhe nahi chorega. Lekin mujhe sirf ye uski baat yaad hai. Mujhe nahi pata wo shakhs ab kaha hoga aur kaun tha.

Mere himmat ka sahara tha wo lekin shayad sabko dekhkar mujhe ye lagne laga hai ki mujhe nahi lagta woh bhi mujhe apna kuch samjhega ab. Itna kehkar anu rone lagti hai.

Door khade ritvik, Raghav aur Anuj ki aankhe chonk jati he jab wo jante he ki yeh wohi anu he jinke sath inka bachpan guzra hai. Tino apne aap ko sharminda mehshush kar rahe the. Ritvik apne chehre par hath rkhkar anshu rokne ki kaushish karta hai. Woh kehta he dono dosto se..ye humne bahut galat kiya. Chahe woh anu nahi hoti lekin kisi ke sath bhi aisa karna kisi ache insan ke gun nahi hai ye . anuj kehta hai hume ye baat rohan ko bhi batani chahiye aur use bhi sath lekar anu se mafi mangne le jana chahiye. Raghav kehta hai hum tino anu se kis muh se najre milayenge.

Rohan bhi ghar aagya tha kartik ke sath. bchache dehliz par ful dalne aate the aur kuch paise aur mere (rohan) ghar se mithai lekar chale jate the. Mera Aaj kahi dosto ke sath jane ka irada nahi tha me samne ki aur dekhta jaha anu ka ghar tha aur mushkurake ghar ke kam kaaj me aur kartik ke sath khelne me lag jata tha .

Thodi der me ritvik ka call aata hai. Wo kehta hai rohan tujhe pata hai. Maine kaha batao kya baat hui ? Ritvik kehta hai tujhe pata hai wo ladki, jo hamari University me aati hai uske chehre par daag hai. Rohan kehta hai haa mujhe yaad hai. Mene ritvik ka suna nahi usse pehle khud keh diya hum sabko us ladki se mafi mangni he ! theek he bahut galat kiya hai humne uske sath.

Ritvik kehta hai tu baat to sun le meri puri. Mene kaha bol bhai tu hi bol. ritvik kehta hai galat nahi humne bahut galat kiya hai. Mene (rohan) kaha wohto mujhe pata hai.

Ritvik kehta hai tu janta hai hum sab jab school me the. sath jate the tab ik ladki hamare sath aati thi anu.

Me anu nam sunkar hi chonk gaya mene bola anu kya anu..? Tab ritvik kehta hai jis ladki ko humne itna hairan kiya wo aur koi nahi balki humari bachpan ki dost anu he.

Ritvik ki ye baat sunkar mere hosh ud gaye. Mene bola tu kya bol raha he tujhe pata he na anu ke baare me unke parivar ke sath kya hua tha. Ritvik kehta hai haa hum sab aaj jaha program dekhne gaye the waha Anu bhi aayi thi. aur usne hi apni Puri baate batayi jab makan ghira tha tab use chont itni lagi thi ki woh behosh hogyi thi. Lekin uski maut nahi hui thi. Uske papa shrinagar me hi the shuruaat se to unhone anu ko bhi apne pas hi rkh liya tha waha.

Itna sunte hi mere hath se phone ghir gaya. Me woh sab yad krne laga jitna maine anu ko kaha tha uske daag ke bare me uska majak udaya sb mujhe yaad arha tha. Me soch bhi nahi parha tha ab kya kahunga use milkar. jis insan ke bharose woh bhi himmat nahi Harti thi uski himmat todne wala aur koi nahi me hi hu.

Me ghanto rote raha. Mene Aaj khana bhi nahi khaya tha. Me aise hi raat me kisi tarah subah hote theek kr dunga sab kehte kehte Na jane kab sogya.

Subah hum sab jaldi University pahuch gaye. Me man hi man soch raha tha. Mujhe ab itna pata he anu mujhse pyar karti thi. Aur mere liye kuch to hoga uske dil me. Mene kaha apne dosto se hum pehle usse mafi mangenge fir use surprise denge uske dost bankar kaisa laga mera vichar. Sab logo ne kaha haa, anu ke chehre par hum sabko ab muskan dekhni hai.

Tabhi waha se anu gujar rahi hoti hai. Tabhi ritvik kehta hai Suno anu...usne roj ki tarah chehre ko Dhaka hua tha dupatte se. Tabhi hum dost milkar kehte hai hum se aaj tak jo bhi galat hua tum hum sabko maf Krna. Na samjhi me hum sab bhool baithe the. Hum insaniyat bhul baithe the. Aisa bolkar hum sab ghutno par uske samne baith gaye. Kyun ki galti ki hai humne.. to hume ab kisi se sharminda hone ki jrurt nahi thi sivaay anu ke. Tab anu ne kaha koi baat nahi . dosto me to ye sb hota rehta hai.

Tab ritvik kaha dost ? Anu thodi heran hone lagi. ritvik kaha dost nahi tum hamari best friend ho. Anu ke chehre par muskaan thi. Wo kehti he meri kal ki dukh bhari baate sunkar tum ye sb keh rahe na. Ritvik kaha naah.., tum schme hamari best friend ho. Batau kaise.. anu kehti hai batao Zara kaise..?

Utne me Raghav kehta hai hum wohi sab he jo sath me padhne jaate the school , khirsu mai. Itna sunkar anu rone lagti hai. Tabhi maine kaha tum rona mat anu ab .., ab hum saath he tumhare. tum kyu ro rahi ho ? chaahe jaise bhi anshu ho gam ya khusi ke, lekin ab tumhe rona nahi hai ! Hum sab ab khas dost rahenge milke. Anu ye sunkar bahut khush thi aaj.

Lekin anu aur mere dosto ko ye baat pata nahi thi ki me hi woh ladka tha jab anu behosh thi to uske sath rehne ka vada kiya tha.

Sab University me Jane lage padhai ke liye. Me aaj akela baitha tha sabse. Me soch raha tha kaise batau anu ko apne baare me. Woh kya jawab degi kya woh haa bhi karegi mere pyaar ko. Fir mujhe yaad aaya jab mene kisi ka majak udaya use rulaya tab mene itna socha nahi to pyaar jatane me kyu soch raha hu. Mujhe pura bhrosa he wo meri galtiya maaf kar degi.

University me break hua sab log niche Jane lage aur woh sab anu se bhi kehne lage chalo chalo hamare sath ab. Tab woh mani nahi hum sb nikal gaye .wo sab khana kha rahe the tabhi me kisi bahane se wapas anu ke paas chala gaya wo akeli baithi thi. Wo mujhe puchne lagi tum yaha kaise aaj..? Dosto ke sath ghumne ka irada nahi he kya aaj.. mene kaha tum bhi to dost hona meri.

Mene Achanak kaha anu me kya tumhare paas baith sakta hu. mujhe tumse kuch baat karni hai. Anu ne kaha haan , haa. zaroor baitho. mene thoda saans li aur kaha anu...tum janti ho..anu ne kaha kya...? Mene kaha jab tum behosh thi na jab tumhara Ghar Tut Gaya tha. Us samay tumse wada karnewala aur koi nahi balki me hi tha.

Anu ke ankho me aanshu the, anu bolo "me nahi manungi woh kehne lagi wo tum nahi the. Wo tum nahi the. Aur na tum woh kabhi ho sakoge. woh itna kehkar rone lagi bench par apna sar rakhke . Maine kaha anu meri wo nasamjhi pagalpan tha woh me hi hu. tabhi maine apne hath se anu ki ring nikali aur kaha anu yaha to dekho..ik bar to dekho na

Tabhi usne sar uthake dekha mere hath me anu ki ring thi. Hum khidki ke pas baithe the khidki se roshani ring ke upar arhi thi jisse wo ring chamak rahi thi. Tabhi maine bahut himmat karke uska hath apne hath me liya aur uske hatho me wo ring pehna di. Mere ankho me bhi aanshu the. Wo dekhkar anu kahi tum kyu ro rahe ho. Mera tumhare alava kabhi koi tha hi nahi. Itna kehkar wo rote huye mere gale lag gai.

Hum dono ik dusre se gale lagkar rone lage. tabhi maine anu ko uthaya aur uski ankho me ankhe dalkar kaha...me tumhe chorkar kabhi kahi nahi jaunga. Me hamesa tumhare sath rahunga utna kehkar maine uske chehre par se dupatta hata diya aur usko zaha zakhm tha waha chum liya. Aur anu ko wapas gale laga liya. Anu ne bhi mujhe kaskar gale laga liya tha. Jaise me hi humesa uska sab kuch tha. Mene Aisa shukoon kabhi mehshush nahi kiya tha.

Aaj meri duniya meri baho me thi..

Mene khidki se bahar ki aur dekha bahar suraj ki roshani thi. Usne mere zindagi ke 6 saal pehle ke andhere ko door kar diya tha. Meri zindagi me wohi subah aaj wapas aagai thi jo kabhi mujhe chorkar chali gayi thi.

: THE END :
 
Last edited:

Kartik kehta hai bhaiya mere to roj ka he ye. Mujhe kuch nahi hoga aap fu todkar feku wo ikathha karna.

Hum dono ik dusre se gale lagkar rone lage. tabhi maine anu ko uthaya aur uski ankho me ankhe dalkar kaha...me tumhe chorkar kabhi kahi nahi jaunga. Me hamesa tumhare sath rahunga utna kehkar maine uske chehre par se dupatta hata diya aur usko zaha zakhm tha waha chum liya. Aur anu ko wapas gale laga liya. Anu se bhi mujhe kaskar gale laga liya tha. Jaise me hi humesa uska sab kuch tha. Mene Aisa shukoon kabhi mehshush nahi kiya tha.

Aaj meri duniya meri baho me thi..

Mene khidki se bahar ki aur dekha bahar suraj ki roshani thi. Usne mere zindagi ke 6 saal pehle ke andhere ko door kar diya tha. Meri zindagi me wohi subah aaj wapas aagai thi jo kabhi mujhe chorkar chali gayi thi.

: THE END :
kya baat hai
kya baat hai
janab
kya khub likha hai apne
wowww keep writing
 
kya baat hai
kya baat hai
janab
kya khub likha hai apne
wowww keep writing
I have read your first part. Awesome. Kash, duniya me sab real me aisa karte to ye duniya kitni mast ho jati. Wonderful writing. Simple and sidha dil me utar jaye aisi. Thank you for writing. Keep it up. :cool:
 
Thank ü bro :heart1:
 
first part padhke second part padhne ka man hi nahi tha kyu ki mujhe happy ending pasand tha par aaj second part padh ke sach me aakho me aanshu aagaya sad aur happy dono mix ki thi ye aansu , sach me bahut khubsurat se khud ko us me daalke sabdo ki rang se sahake bahut khubsurat likhi ho, kabita aur sayari to achhe likhte hi ho par story bhi bahut achi likh rahe ki aap ki kalam ki dhaar aise hi chalti rahe aap ki likh prerana dayak bane meri shubha kamanaye
 
Thank ü :heart1:
 
Top