• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.

टूटे हुए अक्स (Shattered Reflections)-Part-2

4yöu

Epic Legend
Chat Pro User
Dopeher 1 Baje

Hamid Ansari polic station me namaz padhkar aate hai. Unke chehre par bahut gussa tha. Woh constable Daniel mercer se puchte hai koi Saboot mila ? Daniel kehta hai " Sir, Saboot ab tak to kuch to nahi mila jisse kuch lead mile. Lekin itna bata sakta hu Amirah aur Margaret Harrington ke kuch khash ache tal-Mel nahi the.

Hamid ansari bolta hai "Ik budhi pagal aurat hai woh, tum uske ladko par aur pati par dhyan do. Hamid ansari ne ye baat gusse mai kahi thi constable denial mercer bhi hairan tha unka ye ravaiya kuch alag laga unhe.

Rosewood garden 1:00 (Dophar)

Dusri aur liam garden ki bench par akela baitha hai. Asman me thode badal chaye huye hai. Wo apne phone par amirah ki tasveer dekhkar ro raha tha. Wo khud man me kehta hai "Tumhare sath mere ghar me itna kharab vyavhar tha fir bhi, tumn mere pyar ke liye itna kuch sehan kiya. Me kisi bhi halat me tumhare apradhi ko khoj lunga aur kadi se kadi saza dilaunga.

Liam fir sochta hai ki kaun kaun log he jisse amira ki dushmani ho sakti thi. Uske mann me pehla nam hi aata hai , Dominic. Liam ko past me yad aata hai 1 mahine pehle ki baat. Amirah use batati thi ki jab ik din liam kam se colnbrook gaya tha tab dominic aur uska dost ethan cross Ghar aaye the. Wo dono nashe ki halat mai the aur Dominic ka dost ethan usse flirt karne ki kaushish kar raha tha. Amirah pehle to unki baate masti mazak me sun leti hai. Lekin baad me woh log aur gande majak aur batein krte hai amira ke baare me.

Ethan kehta hai amira se ghar par koi nahi hai tum bhi akeli hum bhi akele hai kyu na is mauke ka fayda uthaya jaye. Amira kehti hai ethan ko apne had me raho. Tab dominic kehta hai "B*tch , tumhe Paisa yaha sirf lydia ko sambhalne ka nahi milta, jo kehta hai ethan chup chap kar warna. Amira kehti hai " warna kya kroge tum maroge mujhe ? Tabhi bahar ki bell bajti hai aur waha edward Harrington aajate hai. Ethan tab kehta hai Dominic ko chor na Jane de ise fir kabhi dekhenge. Dominic kehta hai Sun ye baat agar tumne dad ko batayi to humse bura koi nahi hoga.

Liam mayus hokar kehta hai kash me tumhari baat sunkar us din hi kuch actions le leta to aaj shayad ye nobat na aayi hoti. Mene kyu nahi dikhayi itni si bhi himmat ye kehkar wo khud ko kausne lagta hai.

Tabhi waha Evelyn carter (liam 's neigbour) aati hai. Wo liam ke back par hath rakhti hai. Aur uske pas bench par baith jati hai. unki ankho me bhi aanshu the. Wo bolti hai liam tum jante ho Amirah bahut achchi ladki thi. Liam unki aur dekhta hai. Tab Evelyn asman ki aur dekhkar kehti hai Mujhe tum dono ke bare me sab kuch pata hai. Liam unki aur darkar kehta hai ye baat aapne kahi meri mummy ko to nahi batayi ?

Evelyn carter kehti hai me kaise batati tumhari mumm ko liam. Wo aage kehti hai mujhe tumhare Ghar ke sabhi logo ka ravaiya pata hai amira ke liye. Wo meri bhi dost thi. Wo bahut pyari ladki thi liam usne tumhare pyar ke liye tum jante nahi itna kuch saha hai.

Liam kehta hai aisi kya baat hai jo me nahi janta ? Evelyn kehti hai tumhe pata he tumhare mom,dad aur bhai ka Amirah ke liye bartav bahut khrab tha. Tumhari mom hamesha use alag religion hone ki wajah se tane diya kar ti thi. Aur uske sath milkar tumhara bhai bhi use bahut kuch bol deta tha jo shayad me tumhe batakar tumhara dil dukhana nahi chahti ab.

Liam kehta hai in sabka theek hai lekin dad unka ravaiya kaise Amira ke liye khrab tha. Evelyn kehti hai tumhe pata nahi liam, lekin mujhe Amira ne bataya tha jis din Dominic aur uske friend ne amira ke sath galat bartaav kiya tha tab wo yeh sab baat batane tumhare papa ke paas gyi thi. Evelyn itna kehkar chup hoti hai. Liam kehta hai kya hua aage batao mujhe ? ( Gusse me).

Evelyn kehti hai jab Amira ne apni ye baat tumhare papa edward ko batayi to unhone amira ka sath dene ke bajay ulta Dominic ka sath diya.
Unhone Amira se kaha sahi to kaha mere ladke ne tumhe paise yaha sirf kam karne ke liye nahi milte. Aur unhone amira ke sath galat harkat karne bhi kaushish ki thi tab Amira ne unhe apne uncle khalid ansari (former police officer) ko ye sb batane ki dhamki di thi. Ye bat sunkar tumhare papa ne use Jane Diya us din.

Liam rota hua kehta hai ye ka zimmedar mai hi hu aur me chahkar bhi ab kuch thik nahi kar skta. Evelyn kehti hai lekin tum aise hath par hath rakhkar ab nahi baith sakte tumne pehle hi thodi himmat dikhai hoti to aaj sab kuch theek hota.
Liam kehta hai to ab me kya kru ? Tab Evelyn kehti hai jao tum ye sab baat jakar inspector ko bata do , jisse unhe madad mil sake case ko solve karne mai.

Liam police station pahuchta hai aur wo waha jakar inspector Hamid ko sari baat batata hai. Tab Hamid kehta hai apne constable ko tum sb bahar jao. Hamid Ansari ke samne liam baitha hota hai . Hamid uthkar liam ki kursi ke piche chale jata hai. Aur liam ki kandho ke upar hath rakhkar bolta hai " tu janta hai Mai kaun hu ?" Liam thoda sehan jata hai aur kehta hai nahi ?

Hamid Ansari kehta hai jis amira se tu pyar krta tha wo meri cousin thi. Tumhare parivar ne uske sath kya kya kiya hai me sab janta hu. Hamid Ansari thoda jhukkar liam ke kano me dheere se kehta hai tu aur tere parivar ki halat ab me kya karta hu tum sab dekhte jao. Liam itna sunkar darkar waha se chala jata hai.

Asal me Inspector Hamid Ansari former officer khalid ansari ka ladka tha. uske bare me kisi ko bahut zyada jankari nahi thi. Lekin police station me usne aisi image bana li thi, wo kaam bahut lagan se karta tha aur Wo bahut kathor svabhav ka kam bolnewala insan tha.

Tabhi hum dekhte hai khalid ansari (Amira's uncle) unke ghar me woh rajiya ansari ( Amira's aunty) dono amira ke baare me baat kar rahe the. Inki family hamesha bahut strict thi. Un logo ko amira ke kam par Jana bhi pasand nahi tha. Rajiya kehti hai " Amira ko humne Kitna samjhaya, lekin wo apni maa ki bigdi aulad kaha sunne walo mai se thi. Khalid kehta hai " mujhe Hamid (inspector) ne bhi bataya tha ki uska kisi Christan ke sath affair tha aur aisi ladki ke sath yeh to ik na aik din hona hi tha.

Amira hussan wo Adrian hussain (Father) aur sari hussain (mother) ki ik lauti aulad thi. Unka parivar Jakarta, Indonesia me rehta tha. Uski umar 23 saal thi. Amira ke father Adrian hussain University professor the aur uski mummy Bank manager thi. Amira ko yaha aaye huye 2 saal hi huye the. Yaha akar uski mulaqat college me liam se hoti hai.

Amira Hussain sidhi sadhi aur sundar ladki thi. liam bhi kafi bhola aur achcha ladka tha. In guno ke karan in dono ki najdikiya asani se badh gai.

Margaret (liam's mother) aur Dominic sath me baithe huye the. Margret kab se apne husband edward Harrington ko call lagaye ja rhi the lekin wo call nahi utha rahe the. Kafi samay hogya tha aise hi lekin unka kuch ata pata nahi tha. Margaret Dominic se kehti hai tum kuch jante ho kya is hatya ke bare me. Dominic kehta hai "Mujhe kuch nahi pata us sl*t ke baare me ! Wo itna kehkar waha se uthkar chala jata hai.

To be continued...
 
areyy waah just part 1 padha aur abhi part 2 ye toh bahut mast hai

good good keep writing
 
Top