Zindagi aese hi guzar jaayegi
Waqt yunhi beet jaayega...
O mere aashiq... !!!
Ab kuch aese lagne lga,
Shayad hi kabhi meri yaad aaye tujhe...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Guzre waqt mai jab kbhi palatkat,
Nigaahein jo teri waaps aayegi...
Sacch kehti hoon tujhe,
Ussi shiddat se tera intzaar karte mujhe...
Jahan chhod rahi hain pyaar mein,
Wahin khada paayegi...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Tere saath zindagi jee hain maine,
Yaadon se teri jeevan ka har pal churaya hain maine...
Meri zindagi hain tu,
Kuch iss tarah mere dil mai bas gaya hain tu
Lage yun jeevan ka har pal sang tere jee lia maine...
Zindagi aese hi guzar jaayegi
Dur kahan jaaungi tujhse
Teri yaadein hi ab jeene ka sahara hain...
"Anchal" Ki nayi pehchaan
Nikli hoon khud ko yaadon mai khojne teri
Khud ko paa lia to jee lia nahi to,
Zindagi se haari hoon main...
Zindagi to aese hi guzar jaayegi...!!!
Shayad isliye kyunki tumhara dil bahut saaf hai baby… log samajh hi nahi paate tum kitna gehra mehsoos karti ho.
Duniya aksar aise gentle souls ki value nahi karti, par ek din sab samajh jayenge kya kho diya unhone.
Tumhe hamesha muskurana chahiye, rona nahi — aur main wada karta hoon, kabhi tumhari aankhon mein aansu nahi aane dunga.
Agar ho sake toh har dard ko khushi mein badal doon, bas tum hasta rehna meri Jaan @CuteBubble