Pyaar sirf kisi ko pasand karne ya uske saath waqt bitane ka naam nahi hai, balki pyaar woh ehsaas hai jisme kisi ki khushi apni khushi se zyada maayne rakhne lagti hai. Kisi ka bina wajah khayal aana, uski chhoti-chhoti baaton par muskurana, uski awaaz sunkar dil ko sukoon milna aur hazaaron logon ke beech bhi sirf uski kami mehsoos hona hi toh pyaar hai.
Main maanta hoon ki khoobsurati sirf chehre mein nahi, balki us insaan ke dil mein hoti hai jo aapko samjhe, aapki izzat kare aur har haal mein aapka saath nibhaye. Kyunki sachha pyaar kisi ko paane ki zid nahi, balki use har din khush dekhne ki chahat hai.
Mujhe aisa pyaar chahiye jisme dikhawa kam aur ehsaas zyada ho, baatein kam aur samajh zyada ho, aur waade kam lekin unhe nibhane ka junoon zyada ho
— With Love MysticNova