• We kindly request chatzozo forum members to follow forum rules to avoid getting a temporary suspension. Do not use non-English languages in the International Sex Chat Discussion section. This section is mainly created for everyone who uses English as their communication language.

Hisaab

R

Rockzz✨❤️श्वेतराग❤️

Guest
हज़ारों अच्छाइयों की कोई रसीद नहीं होती,
पर एक गलती का पूरा हिसाब रखा जाता है।
 
हज़ारों अच्छाइयों की कोई रसीद नहीं होती,
पर एक गलती का पूरा हिसाब रखा जाता है।
Jahi hota duniya ke ache logo ke sath ache kam kerne walo se agr ek galti ho jaye to pure character per dag lga dete
 
waise is duniya me samundar ki kami kaha fir bhi ek chingaari kaafi hoti he sabkuch jalane k liye ,
Hmmm
Baat sahi hai
Pr chingari pe kabu paya ja sakta tha
 
ek saath galtiyo ki sunami nai aata suruwat ek se hi hoti he agar use na roka jaye to kya pata future me galtiyo ki sunami hi aa jaye
galtiya gini nai jaati sudhari jaati he mere bichar dhara se to yahi kahata he
Jo galti krta jaye aur use na mane aur na sudhare to galtiyon ka pitara bn jata hai...
 
chingari ko kabu kar sakte he par aag ko muskil he aur aag chote chingari se hi lagte he
Chingari kabu na kiya to hi aag ka rup leta hai
Jb use kabu na kiya to jalne ka ramasha dekhna hoga
 
galtiya 2 kisam ki hoti he
1, anjan me
2, soch samach k
to anjan ki galti ko sudhara jaa sakta ge
jo soch samajh k kare to wo kabhi sudhrega nai
han jaga badal sakta he aadate nai galti karne ki
Shi baat hai
Isme soch bhi samil hai...
1. Man lena ki samne wala galat ho krega aur jhuth bolega
To sudharne ke baad bhi nhi lgta koi antar
2. Khud se dur Krna aur use na samjhna
 
chingari to jaruri he jiwan me par use kaise kare uske haat me he ,
galti yahi to hoti he chingari ko samhal nai paata aur sab kuch jala ke raak kar jaata he :wait:
Jo jaruri hai jeevan me uski fikr koi nhi krta baki sab kr leta hai
Ab aag lgi to pachhtana kyon tamasha dekhte hain

Jo bacha sakte the bachane ki koshish bhi na kiye
To jo jal rha hai use dekh ghabrana bhi kyon
 
thand me lagti to haat sekte
kitna jala door se dekhte
garmi me lagi he aur garmi bada rahi he
ye aag najane aur kis kis ghar jala rahi he
Apna ghar to jl hi rha hi
Dekh use dum nikl rha hai
Ab bhi na bacha paye ghar ko
Ye aag sab nigal jayega
Jo bacha sakte hain ab bhi
Wo sab bhi rakh me badal jayega
 
Apna ghar to jl hi rha hi
Dekh use dum nikl rha hai
Ab bhi na bacha paye ghar ko
Ye aag sab nigal jayega
Jo bacha sakte hain ab bhi
Wo sab bhi rakh me badal jayega
Waise..
Dur khade hoke kuch bachaya nhi ja sakta
Ek koshish kre to uska sath dena chahiye
Nhi to dosh aag ka nhi apna kha jayega
Waqt ke sath sab badla jayega pr ek aah rah jayega
 
bewaja apni haat ko jalaye kyu
jalana hi tha use to bachaye kyu
raak k siwa ab baaki raha bhi kya
yu hi us aag me koi kud jaye kyu :nerdy: :nerdy:
To phir kya kahna sunna baki rah gya
Dekhne ko bhi ab kya Bach gya
Jo jal rha hai use jl ke rakh bnne do
Khud ko ek nyi rah pe ab chlne do...
 
manjile jab tak na mile tab tak
ham sab musafir hain
kabi isto kabhi gali bin tha k chale
tab tak ham musafir hain
rukna nai jab tak ye per na jale tab tak ham musafir hain
Musafir ho to raste pe aage badho
Ek jgh ruk ke jlne ka tamasha mt dekho
 
meri nai tumhari mera fhar to old he ham to garib he
Hum to waise bhi barbaad ho gye
Sab jl gya kuch na bacha
Tumhare paas to ab bhi thoda sa ho sahi
Koshish bhi kiye bachane ki kuch hath n laha
 
Top