ᥫ᭡.
Aankhen yoon ruk si gayi hain aaj,
Dhundhli ho chuki tasveeron par...
Nazar nahi aata ab khud ko main,
Bharosa nahi raha ab lakeeron par...
Sanjoye the jo khat maine,
Syahi mit gayi un pannon par...
Aasmaan ban gaye sab kareebi mere,
Phir pair kyun rakhe meri zameenon par...