ALFAAZON KI MEHFIL
Jahan baat bhi shayari mein hogi, aur mulaqat bhi shayari mein hogi…
Aaj kuch alag karne ka iraada hai,
Har lafz ko shayarana banane ka waada hai.
Ae ZoZo ke dosto, zara mehfil mein aaiye,
Apne dil ke alfaaz shayari mein sajaiye.
Yahan na koi normal baat hogi,
Na comments mein aam mulaqat hogi.
Hansna hai toh hansi ko shayari banana,
Roothna hai toh roothne ka andaaz dikhana.
Dosti karni hai toh do misron mein kijiye,
Kisi ko chhedna hai toh shayarana andaaz rakhiye.
Sawaal poochhna ho toh sher mein poochhiye,
Jawab dena ho toh ghazal mein dijiye.
Dil ki baat ho ya mazaak ki barsaat,
Har comment mein bas shayari ki ho baat!
MEHFIL KE KUCH RULES:
Har comment sirf shayari mein hoga.
Mazaak, sawaal aur jawab — sab shayarana honge.
Kisi ki shayari ka reply bhi shayari mein dena hoga.
Do lines likho ya poori ghazal, bas dil se likhna.
Izzat aur tehzeeb rahegi, tabhi mehfil khoobsurat banegi.
Koi dosti ke do lafz likhe,
Koi mohabbat ka paighaam likhe,
Koi hansi se mehfil loot le,
Koi dard ko apna kalaam likhe.
Chalo dekhte hain, ZoZo par kaun-kaun chhupa rustam shayar hai!
Main bhi har shayar ko jawab doonga,
Har sher ke badle ek naya sher likhoonga.
Toh huzoor, aapki pehli shayari kya hogi?
Mehfil mein aaiye, apna hunar dikhaiye,
Magar yaad rahe — NORMAL BAATEIN NAHI,
SIRF SHAYARI MEIN FARMAIYE!