Saleeke se todein to kaante toot jaate hain
Magar afsos yeh hai ki phool pehle toot jate hain...
Mohabbat bhojh bankar hi bhale rehti ho kaandho par
Magar ye bojh hat' ta hai to kaandhe toot jaate hain...
Bicchudkar aapse ye tajurba ho hi gaya aakhir
Main aksar sochti thi ki log kaise toot jaate hain...
Meri aukaat hi kya hai main ak nanha sa aansu hoon
Bulandi se to gir kar acche acche toot jaate hain...
Bahut din gumm ki kaid mai rehte nahi jazbein
Mohabbat jab sada deti hai to pinzrein toot jaate hain...
Jayada dosti bhi nuksaan deti hain
Falon ka bojh badhne se paudhe bhi toot jaate hain...
Sitam yeh hai ki mai us raste nange paanv chalti hoon
Jaha chalte hue logo ke joote bhi fatt jaate hain...