Awesome. Ty for sharing. Keep it up.Ek raat _ Ek baat likhungi
Wo yaad _ Wo saath likhungi
Wo dard bhare haalat likhungi
Khud ko neend aur _ tujhe khwaab likhungi
Tujhko waqt aur _ khud ko intezaar likhungi
Khud ko daag aur _ tujhe saaf likhungi
Haqiqat mein tu kavi milega to nahi
Ek panne pe apni mulaqat likhungi
Maan lungi saari galtiyan meri hai
Mai khud ko jhuth _ aur tujhe insaaf likhungi
Dur ho gaye ham kisi wajah se
Par agle janm m nayi shuruwat likhungi
Jo tujhko na keh payi _ mai apna wo Izhaar likhungi
Khud ko kaidi aur _ teri yaadon ko hawalat likhungi
Maana ki zindagi do pal ki hai
Wo do pal v mai tere saath likhungi
Jo mai keh na saki _ aur tum sun na sake
Apni har wo baat _ wo har jazbaat likhungi
Ab v agar wapas aaye to Poori kitaab likhungi
Ek raat _ Ek baat likhungi
Usme khud ko _ tujhse aazad likhungi
![]()