Main ak musafir hoon
Teri manzil ki talabgaar nahin,
Tere safar ka hissa hoon
Par teri humsafar nahin,
Jo raaste judd gaye
Wo bhi ak ittefak tha...
Par raston ka milna
Mohabbat ka izhaar nahin,
Dil ke shor ko roka
Khamoshi ke naam par,
Chhode apne khwab bhi
Teri muskaan ke daam par,
Fir samjhi, jo sath waqt deta hain
Sirf ak hi mod tak...
Wo rishta kaid hai
Aazadi ke naam par,
Ab main apne raston ka naya fsaana likhungi
Naa intzar karungi na tera afsaana likhungi,
Musafir hoon aur raastein meri kismat ban gaye
Tujhe yaad karungi bhi to
Ak guzzra khoobsurat zamana likhungi....