Ajeeb sawaal hai,
mere jaane se kya hi jaata hai tera?
Aakhir tere baad bachta hi kya hai mera?
Teri yaado ka bojh hai, seh na saku,
Har raah teri taraf le jaaye,
kahi jaa na saku....
Dil ka shor abb bhi tere
kadmo ki aahat sunta hai,
Par tu toh chhod chuka hai,
yeh dil kyu na samajhta hai...